main to har lamha badalte hue mausam mein rahun
maiñ to har lamha badalte hue mausam meñ rahūñ
koī tasvīr nahīñ jo tire albam meñ rahūñ
ghar jo ābād kiyā hai to ye sochā maiñ ne
tujh ko jannat meñ rakhūñ aap jahannam meñ rahūñ
tū agar saath na jaa.e to bahut duur kahīñ
din ko sūraj ke tale raat ko shabnam meñ rahūñ
jī meñ aatā hai kisī roz akelā pā kar
maiñ tujhe qatl karūñ phir tire mātam meñ rahūñ
main to har lamha badalte hue mausam mein rahun
koi taswir nahin jo tere albam mein rahun
ghar jo aabaad kiya hai to ye socha main ne
tujh ko jannat mein rakhun aap jahannam mein rahun
tu agar sath na jae to bahut dur kahin
din ko suraj ke tale raat ko shabnam mein rahun
ji mein aata hai kisi roz akela pa kar
main tujhe qatl karun phir tere matam mein rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.