main to kaghaz hun mujhe aag pakaD jaegi
maiñ to kāġhaz huuñ mujhe aag pakaḌ jā.egī
par tirī baat havāoñ se bigaḌ jā.egī
ḳhushk peḌoñ kī tarah zard mohabbat hai mirī
is pe sabza nahīñ aayā to ye jhaḌ jā.egī
maiñ ki miTTī kī imārat huuñ kisī roz yūñhī
dil ye Dheh jā.egā har iiñT ukhaḌ jā.egī
itnā barfāb ḳhamoshī kā jazīra hai yahāñ
chaar din Thahrūñ to āvāz akaḌ jā.egī
tere kahne pe mohabbat kī banafshī chādar
oḌh to lī hai magar jald udhaḌ jā.egī
main to kaghaz hun mujhe aag pakaD jaegi
par teri baat hawaon se bigaD jaegi
KHushk peDon ki tarah zard mohabbat hai meri
is pe sabza nahin aaya to ye jhaD jaegi
main ki miTTi ki imarat hun kisi roz yunhi
dil ye Dheh jaega har inT ukhaD jaegi
itna barfab KHamoshi ka jazira hai yahan
chaar din Thahrun to aawaz akaD jaegi
tere kahne pe mohabbat ki banafshi chadar
oDh to li hai magar jald udhaD jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.