main to mozahim nahin ghair ke han jaiye
maiñ to mozāhim nahīñ ġhair ke haañ jā.iye
gaah qadam-ranja aap yaañ bhī to farmā.iye
tum se to ġhair az-razā chāra nahīñ mujh ko lek
ka.aba-e-dil ko mire soch ke Tuk Dhak jā.iye
qasd kahīñ aur kā ham se ye kah kar chale
jā.ūñ huuñ ghar aa.iyo yuuñ to na bahkā.iye
aur jagah kab mile dil kī ḳhabar haañ magar
terī galī meñ surāġh DhūñDiye to pā.iye
'māhir'-e-be-chāra par kar ke ye jaur-o-jafā
phir na zabāñ apnī par nām-e-vafā lā.iye
main to mozahim nahin ghair ke han jaiye
gah qadam-ranja aap yan bhi to farmaiye
tum se to ghair az-raza chaara nahin mujh ko lek
kaba-e-dil ko mere soch ke Tuk Dhak jaiye
qasd kahin aur ka hum se ye kah kar chale
jaun hun ghar aaiyo yun to na bahkaiye
aur jagah kab mile dil ki KHabar han magar
teri gali mein suragh DhunDiye to paiye
'mahir'-e-be-chaara par kar ke ye jaur-o-jafa
phir na zaban apni par nam-e-wafa laiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.