main to muflis hun kahan mujh mein ana ki KHushbu
maiñ to muflis huuñ kahāñ mujh meñ anā kī ḳhushbū
mere ehsās se lipTī hai vafā kī ḳhushbū
ḳhushbueñ aur bhī dilkash haiñ jahāñ meñ lekin
sab se behtar hai mirī maañ kī duā kī ḳhushbū
T v jis roz se kamre meñ sajāyā ham ne
ghar meñ aatī hī nahīñ hamd-o-sanā kī ḳhushbū
dil kī vīrān fazāoñ meñ umangeñ jāgīñ
paikar-e-husn se mahkī jo hayā kī ḳhushbū
us se mil kar huuñ mo.attar maiñ abhī tak 'zāhid'
us ke kirdār se aatī hai balā kī ḳhushbū
main to muflis hun kahan mujh mein ana ki KHushbu
mere ehsas se lipTi hai wafa ki KHushbu
KHushbuen aur bhi dilkash hain jahan mein lekin
sab se behtar hai meri man ki dua ki KHushbu
T w jis roz se kamre mein sajaya hum ne
ghar mein aati hi nahin hamd-o-sana ki KHushbu
dil ki viran fazaon mein umangen jagin
paikar-e-husn se mahki jo haya ki KHushbu
us se mil kar hun moattar main abhi tak 'zahid'
us ke kirdar se aati hai bala ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.