main to nahin hun in ke jaisi ye to uDna jaane hain
maiñ to nahīñ huuñ in ke jaisī ye to uḌnā jaane haiñ
ye jo sab ḳhush-rañg parinde pinjre ke dīvāne haiñ
baiTh zarā ārām se dil kī Dor mujhe suljhāne de
uljhī uljhī dhaḌkan ke kamzor se taane baane haiñ
apnī ḳhaak se duur sahī par soñdhī hai hijrat kī dhuul
kahne do kahne vaalo ko duur ke Dhol suhāne haiñ
sirf ghaḌī kī Tik-Tik sunñā maut se pahle maut hai yaar
vaqt se aage baḌh kar dekho aage na.e zamāne haiñ
ḳhud ko gale se lagāyā dekhā man āñgan barsāt ke baad
dhuup sī āñkheñ damak rahī haiñ bhīge bhīge shāne haiñ
kis ko patā hai kitnā vaqt lagegā in ko bharne meñ
dard to baḌhtā hī jaatā hai lekin zaḳhm purāne haiñ
ziist kī train meñ apne apne phone uThā.e gum-sum se
jaane pahchāne rastoñ par log sabhī anjāne haiñ
tere dar par 'sīmā' 'naqvī' kyoñ aate haiñ roz ye sañg
ik tū hī dīvānī hai yā baaqī sab dīvāne haiñ
main to nahin hun in ke jaisi ye to uDna jaane hain
ye jo sab KHush-rang parinde pinjre ke diwane hain
baiTh zara aaram se dil ki Dor mujhe suljhane de
uljhi uljhi dhaDkan ke kamzor se tane bane hain
apni KHak se dur sahi par sondhi hai hijrat ki dhul
kahne do kahne walo ko dur ke Dhol suhane hain
sirf ghaDi ki Tik-Tik sunna maut se pahle maut hai yar
waqt se aage baDh kar dekho aage nae zamane hain
KHud ko gale se lagaya dekha man aangan barsat ke baad
dhup si aankhen damak rahi hain bhige bhige shane hain
kis ko pata hai kitna waqt lagega in ko bharne mein
dard to baDhta hi jata hai lekin zaKHm purane hain
zist ki train mein apne apne phone uThae gum-sum se
jaane pahchane raston par log sabhi anjaane hain
tere dar par 'sima' 'naqwi' kyon aate hain roz ye sang
ek tu hi diwani hai ya baqi sab diwane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.