main to pagal hun meri aankh ke aansu pe na ja
maiñ to pāgal huuñ mirī aañkh ke aañsū pe na jā
ishq bas ḳhvāb hai is ḳhvāb ke jaadū pe na jā
ab palaT kar nahīñ shahroñ ko maiñ jaane vaalī
mire jañgal tū pareshānī-o-hā-hū pe na jā
maiñ tirā raqs huuñ is raqs ko puurā kar le
thak ke yuuñ TuuT ke girte hue ghuñghrū pe na jā
garmī-e-raqs ke thamte hī thameñge ham sab
hissa-e-raqs hai is jumbish-e-abrū pe na jā
main to pagal hun meri aankh ke aansu pe na ja
ishq bas KHwab hai is KHwab ke jadu pe na ja
ab palaT kar nahin shahron ko main jaane wali
mere jangal tu pareshani-o-ha-hu pe na ja
main tera raqs hun is raqs ko pura kar le
thak ke yun TuT ke girte hue ghunghru pe na ja
garmi-e-raqs ke thamte hi thamenge hum sab
hissa-e-raqs hai is jumbish-e-abru pe na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.