main to sau bar tere milne ko aaya tanha
main to sau bar tere milne ko aaya tanha
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
maiñ to sau baar tire milne ko aayā tanhā
lekin afsos kabhī tujh ko na paayā tanhā
shirk se ḳhālī kisī kā na nazar aayā dil
vo baḌe zarf haiñ jin meñ tū samāyā tanhā
kis ko da.avā nahīñ ulfat kā tirī aalam meñ
āshiqoñ meñ tire maiñ hī na kahāyā tanhā
band-e-kākul meñ tire jī bhī hamārā hai asiir
daam meñ zulf ke dil hī na phañsāyā tanhā
kal 'jahāñdār' ham aur yaar the Tuk mil baiThe
baḳht-e-nā-sāz ne phir aaj biThāyā tanhā
main to sau bar tere milne ko aaya tanha
lekin afsos kabhi tujh ko na paya tanha
shirk se KHali kisi ka na nazar aaya dil
wo baDe zarf hain jin mein tu samaya tanha
kis ko dawa nahin ulfat ka teri aalam mein
aashiqon mein tere main hi na kahaya tanha
band-e-kakul mein tere ji bhi hamara hai asir
dam mein zulf ke dil hi na phansaya tanha
kal 'jahandar' hum aur yar the Tuk mil baiThe
baKHt-e-na-saz ne phir aaj biThaya tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.