main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-KHwab gira
maiñ to soyā bhī na thā kyuuñ ye dar-e-ḳhvāb girā
merī āġhosh meñ bujhtā huā mahtāb girā
phir samundar kī taraf lauT chalī mauj-ba-mauj
phir koī tishna-dahan aa ke sar-e-āb girā
aks mismār na kar dīda-e-hairāñ ke sarishk
mere ḳhvāboñ ke dar-o-bām na sailāb girā
DhūñD siipī kī tarah dil ko na sāhil ke qarīb
ye sadaf duur bahut duur tah-e-āb girā
aahan o sañg ko zahrāb-e-fanā chaaT gayā
pahle dīvār shikasta huī phir baab girā
main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-KHwab gira
meri aaghosh mein bujhta hua mahtab gira
phir samundar ki taraf lauT chali mauj-ba-mauj
phir koi tishna-dahan aa ke sar-e-ab gira
aks mismar na kar dida-e-hairan ke sarishk
mere KHwabon ke dar-o-baam na sailab gira
DhunD sipi ki tarah dil ko na sahil ke qarib
ye sadaf dur bahut dur tah-e-ab gira
aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya
pahle diwar shikasta hui phir bab gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.