main tujhko sochne baiThi to ye KHayal aaya
maiñ tujh ko sochne baiThī to ye ḳhayāl aayā
ki āftāb-e-mohabbat ko kyoñ zavāl aayā
hamārī hālat-e-dil dekhne ke qābil thī
tirī judā.ī kā jab sāmne savāl aayā
ḳhudā ke fazl se hāsil sadā uruuj rahā
hamārī soch ke sūraj ko kab zavāl aayā
havas-parast añdheroñ ne us ko gher liyā
ufuq pe jab bhī kisī kā mah-e-jamāl aayā
hunar kī daulat-e-be-misl yuuñ nahīñ paa.ī
jalā hai ḳhūn-e-jigar tab kahīñ kamāl aayā
ka.ī the ahl-e-talab laakh ḳhūbiyoñ ke magar
hamārī ziist meñ ik shaḳhs be-misāl aayā
main tujh ko sochne baiThi to ye KHayal aaya
ki aaftab-e-mohabbat ko kyon zawal aaya
hamari haalat-e-dil dekhne ke qabil thi
teri judai ka jab samne sawal aaya
KHuda ke fazl se hasil sada uruj raha
hamari soch ke suraj ko kab zawal aaya
hawas-parast andheron ne us ko gher liya
ufuq pe jab bhi kisi ka mah-e-jamal aaya
hunar ki daulat-e-be-misl yun nahin pai
jala hai KHun-e-jigar tab kahin kamal aaya
kai the ahl-e-talab lakh KHubiyon ke magar
hamari zist mein ek shaKHs be-misal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.