main tujh pe kar nahin sakta nisar aur charagh
maiñ tujh pe kar nahīñ saktā nisār aur charāġh
havā-e-lams ke jhoñke na maar aur charāġh
uThā ke taaq se ik roz pheñk degā koī
mirā vajūd tirā intizār aur charāġh
safar ko yaad rahegā hamārā raḳht-e-safar
ye surḳh aable gard-o-ġhubār aur charāġh
to jaan lenā ki phir imtihān-e-dostī hai
agar bujhāyā gayā ek baar aur charāġh
tirī judā.ī meñ ik dūsre ko takte haiñ
tamām raat ruḳh-e-ashk-bār aur charāġh
vajūd-e-vaqt pe taz.īn-e-shab ke zevar haiñ
hamārī niiñd hasīñ ḳhvāb-zār aur charāġh
qadīm vaqtoñ se ik dūsre ke yaar haiñ ye
kabhī bichhaḌ nahīñ sakte mazār aur charāġh
samāñ banāte haiñ shab kā safed chehroñ par
siyāh rang ke gahre hisār aur charāġh
naved-e-sub.h ke imkāñ meñ chal base donoñ
shab-e-shikast kā girya-guzār aur charāġh
shab-e-sukūt meñ ‘shīrān’ mahv-e-raqs haiñ sab
dhuāñ añdherā havā-e-ḳhumār aur charāġh
main tujh pe kar nahin sakta nisar aur charagh
hawa-e-lams ke jhonke na mar aur charagh
uTha ke taq se ek roz phenk dega koi
mera wajud tera intizar aur charagh
safar ko yaad rahega hamara raKHt-e-safar
ye surKH aable gard-o-ghubar aur charagh
to jaan lena ki phir imtihan-e-dosti hai
agar bujhaya gaya ek bar aur charagh
teri judai mein ek dusre ko takte hain
tamam raat ruKH-e-ashk-bar aur charagh
wajud-e-waqt pe tazin-e-shab ke zewar hain
hamari nind hasin KHwab-zar aur charagh
qadim waqton se ek dusre ke yar hain ye
kabhi bichhaD nahin sakte mazar aur charagh
saman banate hain shab ka safed chehron par
siyah rang ke gahre hisar aur charagh
nawed-e-subh ke imkan mein chal base donon
shab-e-shikast ka girya-guzar aur charagh
shab-e-sukut mein ‘shiran’ mahw-e-raqs hain sab
dhuan andhera hawa-e-KHumar aur charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.