main tujhse jo mangun to yahi mangun ki mujhko
maiñ tujh se jo māñgūñ to yahī māñgūñ ki mujh ko
muhtāj na karnā kisī duniyāvī ḳhudā kā
duniyā ke masā.ib se agar jhukne lagūñ to
hāthoñ meñ thamā denā 'asā apnī 'atā kā
kamzor jo paḌne lage āvāz mirī to
duniyā meñ baḌhā denā asar merī sadā kā
aa jaa.e agar vaqt kaḌā pyāroñ pe mere
fazloñ meñ piro denā badan un kī du'ā kā
namnāk jo ho jā.ūñ kabhī apnoñ se maulā
āñkhoñ se miTā denā alam apne gadā kā
duniyā kī nigāhoñ se agar girne lagūñ to
'izzat ko banā denā sharaf merī qabā kā
ho jaa.eñ agar haath mire ḳhālī to maulā
kashkol meñ bhar denā bharam apnī razā kā
main tujh se jo mangun to yahi mangun ki mujh ko
muhtaj na karna kisi duniyawi KHuda ka
duniya ke masaib se agar jhukne lagun to
hathon mein thama dena 'asa apni 'ata ka
kamzor jo paDne lage aawaz meri to
duniya mein baDha dena asar meri sada ka
aa jae agar waqt kaDa pyaron pe mere
fazlon mein piro dena badan un ki du'a ka
namnak jo ho jaun kabhi apnon se maula
aankhon se miTa dena alam apne gada ka
duniya ki nigahon se agar girne lagun to
'izzat ko bana dena sharaf meri qaba ka
ho jaen agar hath mere KHali to maula
kashkol mein bhar dena bharam apni raza ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.