main tujhse kya kahun ki abhi kal ki baat hai
main tujhse kya kahun ki abhi kal ki baat hai
Abdul Qadir Ahqar Azizi
MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi
maiñ tujh se kyā kahūñ ki abhī kal kī baat hai
haañ sub.h ho rahī hai magar phir bhī raat hai
kaise guzar rahī hai mirī ziist jaan lo
kahte haiñ jis ko maut vo merī hayāt hai
ġham hai alam hai ranj hai hasrat hai aur maiñ
tanhā hai merā dil aur udhar kitnī ghaat hai
ye haal merā ho rahā hai shorish-e-junūñ
behis dimāġh-o-zehn ki murda bhī maat hai
dariyā-e-ranj-o-fikr meñ Duubā huā huuñ maiñ
hāfiz mirā nasīr mirā haq kī zaat hai
'ahqar' fareb-e-zīst se uktā gayā huuñ maiñ
kaisā ‘ajīb dām-e-hayāt-o-mamāt hai
main tujh se kya kahun ki abhi kal ki baat hai
han subh ho rahi hai magar phir bhi raat hai
kaise guzar rahi hai meri zist jaan lo
kahte hain jis ko maut wo meri hayat hai
gham hai alam hai ranj hai hasrat hai aur main
tanha hai mera dil aur udhar kitni ghat hai
ye haal mera ho raha hai shorish-e-junun
behis dimagh-o-zehn ki murda bhi mat hai
dariya-e-ranj-o-fikr mein Duba hua hun main
hafiz mera nasir mera haq ki zat hai
'ahqar' fareb-e-zist se ukta gaya hun main
kaisa ‘ajib dam-e-hayat-o-mamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.