main tumhaara apna hun aankh khol kar dekho
maiñ tumhārā apnā huuñ aañkh khol kar dekho
apne dil ko ai jānāñ tum TaTol kar dekho
taḳhtiyāñ haiñ nāmoñ kī ḳhushnumā har ik dar par
ik athāh vīrānī ghar jo khol kar dekho
ye sulagte nazzāre ye dhuāñ dhuāñ manzar
gūñjte haiñ sannāTe kuchh to bol kar dekho
naqsh chhoḌ jā.eñge lafz mere har dil par
'aql kī tarāzū meñ tum jo tol kar dekho
likh sakoge tum 'mohsin' zulmatoñ ke afsāne
raushnā.ī meñ thoḌā 'azm ghol kar dekho
main tumhaara apna hun aankh khol kar dekho
apne dil ko ai jaanan tum TaTol kar dekho
taKHtiyan hain namon ki KHushnuma har ek dar par
ek athah virani ghar jo khol kar dekho
ye sulagte nazzare ye dhuan dhuan manzar
gunjte hain sannaTe kuchh to bol kar dekho
naqsh chhoD jaenge lafz mere har dil par
'aql ki taraazu mein tum jo tol kar dekho
likh sakoge tum 'mohsin' zulmaton ke afsane
raushnai mein thoDa 'azm ghol kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.