main TuTta rahun aisi teri raza to nahin
maiñ TūTtā rahūñ aisī tirī razā to nahīñ
havā-e-tund meñ shāmil tirī adā to nahīñ
maiñ chauñk uThā huuñ bahut apnī chup ke sahrā meñ
jo aa rahī hai kahīñ merī hī sadā to nahīñ
na jaane kaun sī manzil shikast kī aa.ī
mirī pukār meñ pahle ye dard thā to nahīñ
fuġhāñ pe tañg huā lafz-o-saut kā sahrā
mirā ḳharāba-e-jāñ be-kanār thā to nahīñ
guzar sakā na koī is dayār se ab tak
sukūt-e-dil ke pas-e-parda ik ḳhalā to nahīñ
main TuTta rahun aisi teri raza to nahin
hawa-e-tund mein shamil teri ada to nahin
main chaunk uTha hun bahut apni chup ke sahra mein
jo aa rahi hai kahin meri hi sada to nahin
na jaane kaun si manzil shikast ki aai
meri pukar mein pahle ye dard tha to nahin
fughan pe tang hua lafz-o-saut ka sahra
mera KHaraba-e-jaan be-kanar tha to nahin
guzar saka na koi is dayar se ab tak
sukut-e-dil ke pas-e-parda ek KHala to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.