main un hudud se kuchh aage jaane wala tha
maiñ un hudūd se kuchh aage jaane vaalā thā
tamāsha aur hī tujh ko dikhāne vaalā thā
vo ḳhāk-e-nam bhī mirī thī shikasta-dil bhī mire
yahī asāsa abhī maiñ gañvāne vaalā thā
ye shāḳh phir huī vīrān ai parinda-e-shab
isī Thikāne kabhī tū bhī aane vaalā thā
na ek raat hī aisī na ek din aisā
magar maiñ raat ko din se milāne vaalā thā
ġharīb-e-shahr kā sar ho gayā qalam āḳhir
kahāñ kī chiiz kahāñ par luTāne vaalā thā
ik aur gumān ne saaya sā mujh pe Daal diyā
ik aur gumān kī zad meñ jab aane vaalā thā
main un hudud se kuchh aage jaane wala tha
tamasha aur hi tujh ko dikhane wala tha
wo KHak-e-nam bhi meri thi shikasta-dil bhi mere
yahi asasa abhi main ganwane wala tha
ye shaKH phir hui viran ai parinda-e-shab
isi Thikane kabhi tu bhi aane wala tha
na ek raat hi aisi na ek din aisa
magar main raat ko din se milane wala tha
gharib-e-shahr ka sar ho gaya qalam aaKHir
kahan ki chiz kahan par luTane wala tha
ek aur guman ne saya sa mujh pe Dal diya
ek aur guman ki zad mein jab aane wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.