main un ko dars dunga zindagi ka
maiñ un ko dars dūñgā zindagī kā
jo aksar sochte haiñ ḳhud-kushī kā
tirī āvāz ke sadqe ham andhe
sarāpā dekhte haiñ raushnī kā
kise hogī ḳhushī merī ḳhushī se
kisī ko ranj hotā hai kisī kā
zarā socho agar ye āsmāñ bhī
koī jaadū hī niklā sāmrī kā
javānī chhīnñe meñ mujh se merī
tumhārā haath hai yā naukrī kā
kahāñ udhḌe hue baḳhiye hamāre
kahāñ terā hunar baḳhiya-garī kā
sañbhāl ab is ḳhurāfātī jahāñ ko
tujhe hī shauq thā jalvagarī kā
main un ko dars dunga zindagi ka
jo aksar sochte hain KHud-kushi ka
teri aawaz ke sadqe hum andhe
sarapa dekhte hain raushni ka
kise hogi KHushi meri KHushi se
kisi ko ranj hota hai kisi ka
zara socho agar ye aasman bhi
koi jadu hi nikla samri ka
jawani chhinne mein mujh se meri
tumhaara hath hai ya naukri ka
kahan udhDe hue baKHiye hamare
kahan tera hunar baKHiya-gari ka
sanbhaal ab is KHurafati jahan ko
tujhe hi shauq tha jalwagari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.