main us ka majzub hua
maiñ us kā majzūb huā
ye honā bhī ḳhuub huā
is dil meñ jitnā ġham hai
sab us se mansūb huā
toḌ diyā duniyā ne use
jo merā mahbūb huā
maiñ ne anā ko ziist kiyā
maiñ ḳhud hī maslūb huā
main us ka majzub hua
ye hona bhi KHub hua
is dil mein jitna gham hai
sab us se mansub hua
toD diya duniya ne use
jo mera mahbub hua
main ne ana ko zist kiya
main KHud hi maslub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.