main uski aankhon se chhalki sharab pita hun
maiñ us kī āñkhoñ se chhalkī sharāb piitā huuñ
ġharīb ho ke bhī mahñgī sharāb piitā huuñ
mujhe nashe meñ bahakte kabhī nahīñ dekhā
vo jāntā hai maiñ kitnī sharāb piitā huuñ
use bhī dekhūñ to pahchānñe meñ der lage
kabhī kabhī to maiñ itnī sharāb piitā huuñ
purāne chāhne vāloñ kī yaad aane lage
isī liye maiñ purānī sharāb piitā huuñ
main us ki aankhon se chhalki sharab pita hun
gharib ho ke bhi mahngi sharab pita hun
mujhe nashe mein bahakte kabhi nahin dekha
wo jaanta hai main kitni sharab pita hun
use bhi dekhun to pahchanne mein der lage
kabhi kabhi to main itni sharab pita hun
purane chahne walon ki yaad aane lage
isi liye main purani sharab pita hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.