main uski baat ke lahje ka etibar karun
maiñ us kī baat ke lahje kā e'tibār karūñ
karūñ ki us kā na maiñ aaj intizār karūñ
maiñ sirf saaya huuñ apnā magar ye zid hai mujhe
ki apne-āp ko ḳhud se alag shumār karūñ
ajab mizāj hai us kā bhī chāhtā hai ki maiñ
ba-taur-e-vaz.a faqat ḳhud ko iḳhtiyār karūñ
maiñ ik athāh samundar huuñ is ḳhayāl meñ ġharq
ki Duub jā.ūñ maiñ ḳhud meñ ki ḳhud ko paar karūñ
ḳhud apne-āp se milne ke vāste pahle
maiñ apne-āp ko dariyā se ābshār karūñ
maiñ us kī dhuup huuñ jo merā āftāb nahīñ
ye baat ḳhud pe maiñ kis tarah āshkār karūñ
kisī qadīm kahānī meñ ek muddat se
vo so rahā hai ki maiñ us ko hoshiyār karūñ
phir ek aas kī chilman se umr bhar lag ke
ḳhud apne paañv kī aahaT kā intizār karūñ
main us ki baat ke lahje ka e'tibar karun
karun ki us ka na main aaj intizar karun
main sirf saya hun apna magar ye zid hai mujhe
ki apne-ap ko KHud se alag shumar karun
ajab mizaj hai us ka bhi chahta hai ki main
ba-taur-e-waza faqat KHud ko iKHtiyar karun
main ek athah samundar hun is KHayal mein gharq
ki Dub jaun main KHud mein ki KHud ko par karun
KHud apne-ap se milne ke waste pahle
main apne-ap ko dariya se aabshaar karun
main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin
ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun
kisi qadim kahani mein ek muddat se
wo so raha hai ki main us ko hoshiyar karun
phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke
KHud apne panw ki aahaT ka intizar karun
- Book : Goonj (Pg. 39)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.