main usko sochun shab-o-roz bandagi ki tarah
maiñ us ko sochūñ shab-o-roz bandagī kī tarah
haiñ us kī yādeñ dil-e-zār par namī kī tarah
kaTegā kaise bhalā arsa-e-hayāt batā
tire binā to har ik pal huā sadī kī tarah
mujhe to ġham meñ bhī lazzat sadā huī mahsūs
hai rab kā shukr mujhe ġham diyā ḳhushī kī tarah
hamesha dil meñ ġhamoñ kā hai madd-o-jazr magar
nazar meñ aatī huuñ Thahrī huī nadī kī tarah
kahūñ jo sher to āñkheñ chamakne lagtī haiñ
mujhe to shā.erī lagtī hai raushnī kī tarah
vo shaḳhs jis pe luTā dī ḳhulūs kī daulat
vo ab mile bhī to miltā hai ajnabī kī tarah
agar vo pyaar se sairāb kar de dil kī zamīñ
har ek zaḳhm-e-jigar khil uThe kalī kī tarah
ba-vaqt-e-naza.a vo aa.e qarīb 'azkā' ke
qazā bhī lagne lagī us ko zindagī kī tarah
main us ko sochun shab-o-roz bandagi ki tarah
hain us ki yaaden dil-e-zar par nami ki tarah
kaTega kaise bhala arsa-e-hayat bata
tere bina to har ek pal hua sadi ki tarah
mujhe to gham mein bhi lazzat sada hui mahsus
hai rab ka shukr mujhe gham diya KHushi ki tarah
hamesha dil mein ghamon ka hai madd-o-jazr magar
nazar mein aati hun Thahri hui nadi ki tarah
kahun jo sher to aankhen chamakne lagti hain
mujhe to shaeri lagti hai raushni ki tarah
wo shaKHs jis pe luTa di KHulus ki daulat
wo ab mile bhi to milta hai ajnabi ki tarah
agar wo pyar se sairab kar de dil ki zamin
har ek zaKHm-e-jigar khil uThe kali ki tarah
ba-waqt-e-naza wo aae qarib 'azka' ke
qaza bhi lagne lagi us ko zindagi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.