main us mein aks-e-talab apna DhunDhti hi rahi
maiñ us meñ aks-e-talab apnā DhūñDhtī hī rahī
magar vo chashm-e-mohabbat ki ajnabī hī rahī
vo ik charāġh jo us lams ne jalāyā thā
mire badan meñ sadā us kī raushnī hī rahī
qarār paayā nahīñ tere qurb meñ bhī magar
tujhe gañvā ke bhī is dil meñ be-kalī hī rahī
go muḳhtasar the bahut tere vasl ke lamhe
tamām umr tire ġham se dostī hī rahī
ḳhudā nahīñ to magar umr bhar mohabbat meñ
tire huzūr jabīn-e-vafā jhukī hī rahī
main us mein aks-e-talab apna DhunDhti hi rahi
magar wo chashm-e-mohabbat ki ajnabi hi rahi
wo ek charagh jo us lams ne jalaya tha
mere badan mein sada us ki raushni hi rahi
qarar paya nahin tere qurb mein bhi magar
tujhe ganwa ke bhi is dil mein be-kali hi rahi
go muKHtasar the bahut tere wasl ke lamhe
tamam umr tere gham se dosti hi rahi
KHuda nahin to magar umr bhar mohabbat mein
tere huzur jabin-e-wafa jhuki hi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.