main us se bichhDa to phir kis qadar akeli thi
maiñ us se bichhḌā to phir kis qadar akelī thī
vo chāñdnī jo kabhī mere saath khelī thī
kabhī kabhī baḌī shiddat se yaad aatī hai
vo niiñd jo mirī āñkhoñ kī ik sahelī thī
qadam qadam pe the jangal meñ sā.ebān bahut
magar vo chaltī huī dhuup jo akelī thī
jahāñ se maiñ ye ḳharāsheñ sajā ke laayā huuñ
mire paḌos meñ phūloñ kī ik havelī thī
badal ga.e the lakīroñ ke zāviye varna
vahī thā haath hamārā vahī hathelī thī
bhulā diyā use manzil ke paas sūraj ne
masāfatoñ kī kaḌī dhuup jis ne jhelī thī
hamāre baare meñ ā.īna sochtā hī rahā
hamārī shakl meñ shāyad koī pahelī thī
hamāre gaañv kā naqsha badal gayā varna
jahāñ babūl hai pahle vahāñ chañbelī thī
khilī huī hai vo ai 'badr' ek jangal meñ
mire vajūd ne jo chāñdnī uñDelī thī
main us se bichhDa to phir kis qadar akeli thi
wo chandni jo kabhi mere sath kheli thi
kabhi kabhi baDi shiddat se yaad aati hai
wo nind jo meri aankhon ki ek saheli thi
qadam qadam pe the jangal mein saeban bahut
magar wo chalti hui dhup jo akeli thi
jahan se main ye KHarashen saja ke laya hun
mere paDos mein phulon ki ek haweli thi
badal gae the lakiron ke zawiye warna
wahi tha hath hamara wahi hatheli thi
bhula diya use manzil ke pas suraj ne
masafaton ki kaDi dhup jis ne jheli thi
hamare bare mein aaina sochta hi raha
hamari shakl mein shayad koi paheli thi
hamare ganw ka naqsha badal gaya warna
jahan babul hai pahle wahan chanbeli thi
khili hui hai wo ai 'badr' ek jangal mein
mere wajud ne jo chandni unDeli thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.