main use dekh rahi hun baDi hairani se
maiñ use dekh rahī huuñ baḌī hairānī se
jo mujhe bhuul gayā is qadar āsānī se
ḳhud se ghabrā ke yahī kahtī huuñ auroñ kī tarah
ḳhauf aatā hai mujhe shahr kī vīrānī se
ab kisī aur salīqe se satā.e duniyā
jī badalne lagā asbāb-e-pareshānī se
tan ko Dhāñpe hue phirte haiñ sabhī log yahāñ
sharm aatī hai kise soch kī uryānī se
ai falak chhoḌ de be-yār-o-madadgār hameñ
dam ghuTā jaatā hai ab terī nigahbānī se
maiñ use ḳhvāb samajh saktī huuñ lekin 'amabar'
lams jaatā nahīñ us kā mirī peshānī se
main use dekh rahi hun baDi hairani se
jo mujhe bhul gaya is qadar aasani se
KHud se ghabra ke yahi kahti hun auron ki tarah
KHauf aata hai mujhe shahr ki virani se
ab kisi aur saliqe se satae duniya
ji badalne laga asbab-e-pareshani se
tan ko Dhanpe hue phirte hain sabhi log yahan
sharm aati hai kise soch ki uryani se
ai falak chhoD de be-yar-o-madadgar hamein
dam ghuTa jata hai ab teri nigahbani se
main use KHwab samajh sakti hun lekin 'amabar'
lams jata nahin us ka meri peshani se
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 162)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.