main ubta hun na qisse ko aur lamba khinch
maiñ uubtā huuñ na qisse ko aur lambā khīñch
agar hai haath meñ Dorī to phir ye parda khīñch
churā ke niiñd mirī chain se jo soyā hai
use dikhā tū bure ḳhvāb sar se takiya khīñch
batā ki jism kā āzār lā-ilāj huā
tabīb jaan kī parvā na kar tū paisa khīñch
surang-e-jism hai lambī so ehtiyāt barat
bhaTak na jaa.e kahīñ saañs ko na itnā khīñch
kueñ meñ gir ga.ī gagrī to jaane kab nikle
abhī hai haath meñ rassī sirā usī kā khīñch
main ubta hun na qisse ko aur lamba khinch
agar hai hath mein Dori to phir ye parda khinch
chura ke nind meri chain se jo soya hai
use dikha tu bure KHwab sar se takiya khinch
bata ki jism ka aazar la-ilaj hua
tabib jaan ki parwa na kar tu paisa khinch
surang-e-jism hai lambi so ehtiyat barat
bhaTak na jae kahin sans ko na itna khinch
kuen mein gir gai gagri to jaane kab nikle
abhi hai hath mein rassi sira usi ka khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.