main waqif-kar-e-asrar-e-baqa hun
maiñ vāqif-kār-e-asrār-e-baqā huuñ
isī ḳhātir to un par mar-miTā huuñ
ye merī intihā-e-ārzū dekh
ki maiñ tujh se tujhī ko māñgtā huuñ
sunī jaatī nahīñ jo huuñ vo fariyād
jo rad kar dī ga.ī vo iltijā huuñ
koī nāhaq jafā.eñ kyoñ sahegā
magar maiñ huuñ ki majbūr-e-vafā huuñ
ravā hai yā ye sajda nāravā hai
kisī ke āstāñ par gir paḌā huuñ
vo apne husn kī ik dāstāñ haiñ
maiñ apne 'ishq kā ik mājrā huuñ
kahīñ hote bhī haiñ siine meñ do dil
maiñ jis ko chāhtā huuñ chāhtā huuñ
main waqif-kar-e-asrar-e-baqa hun
isi KHatir to un par mar-miTa hun
ye meri intiha-e-arzu dekh
ki main tujh se tujhi ko mangta hun
suni jati nahin jo hun wo fariyaad
jo rad kar di gai wo iltija hun
koi nahaq jafaen kyon sahega
magar main hun ki majbur-e-wafa hun
rawa hai ya ye sajda narawa hai
kisi ke aastan par gir paDa hun
wo apne husn ki ek dastan hain
main apne 'ishq ka ek majra hun
kahin hote bhi hain sine mein do dil
main jis ko chahta hun chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.