main warafta sitaro ka meri manzil to aage hai
maiñ vārafta sitāro kā mirī manzil to aage hai
maiñ raahī rahguzāroñ kā mirī manzil to aage hai
na phūloñ kī tamannā hai na ḳhushbū se koī matlab
na maiñ dushman huuñ ḳhāroñ kā mirī manzil to aage hai
mujhe ġhote lagāne haiñ mujhe gauhar se matlab hai
nahīñ ḳhvāhāñ kināroñ kā mirī manzil to aage hai
añdheroñ meñ chamaktā huuñ sadā gardish meñ rahtā huuñ
maiñ sāthī shab ke tāroñ kā mirī manzil to aage hai
na thak kar baiTh saktā huuñ na shākī huuñ muqaddar kā
asā huuñ be-sahāroñ kā mirī manzil to aage hai
main warafta sitaro ka meri manzil to aage hai
main rahi rahguzaron ka meri manzil to aage hai
na phulon ki tamanna hai na KHushbu se koi matlab
na main dushman hun KHaron ka meri manzil to aage hai
mujhe ghote lagane hain mujhe gauhar se matlab hai
nahin KHwahan kinaron ka meri manzil to aage hai
andheron mein chamakta hun sada gardish mein rahta hun
main sathi shab ke taron ka meri manzil to aage hai
na thak kar baiTh sakta hun na shaki hun muqaddar ka
asa hun be-sahaaron ka meri manzil to aage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.