main wahm bechta hun waswase banata hun
maiñ vahm bechtā huuñ vasvase banātā huuñ
sitāre dekhtā huuñ zā.iche banātā huuñ
garāñ hai itnā to kyoñ vaqt ho mujhe darkār
maze se baiThā huā bulbule banātā huuñ
musāfiroñ kā mire ghar hujūm rahtā hai
maiñ pyaas bāñTtā huuñ aable banātā huuñ
ḳharīd laatā huuñ pahle tire visāl ke ḳhvāb
phir un se apne liye rat-jage banātā huuñ
yahī nahīñ ki zamīneñ mirī achhūtī haiñ
maiñ āsmān bhī apne liye banātā huuñ
main wahm bechta hun waswase banata hun
sitare dekhta hun zaiche banata hun
garan hai itna to kyon waqt ho mujhe darkar
maze se baiTha hua bulbule banata hun
musafiron ka mere ghar hujum rahta hai
main pyas banTta hun aable banata hun
KHarid lata hun pahle tere visal ke KHwab
phir un se apne liye rat-jage banata hun
yahi nahin ki zaminen meri achhuti hain
main aasman bhi apne liye banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.