main waqt ki aabju se aage nikal gaya hun
maiñ vaqt kī aabjū se aage nikal gayā huuñ
so dahr kī hā-o-hū se aage nikal gayā huuñ
maiñ be-sharī.at tahāratoñ kī talāsh meñ thā
maiñ bā-sharī.at vuzū se aage nikal gayā huuñ
tū jāntā hai ki merā vijdān vajd meñ hai
tū jāntā hai maiñ tū se aage nikal gayā huuñ
maiñ raqs karte hue tahajjud kī sā.atoñ meñ
ibādatoñ ke ġhulū se aage nikal gayā huuñ
na-jāne kis kā.enāt meñ paaoñ rakh diye haiñ
maiñ rāt-din kī numū se aage nikal gayā huuñ
abas haiñ sab ālam-e-tahayyur mirī nazar meñ
maiñ ālam-e-justujū se aage nikal gayā huuñ
maiñ is jahān-e-qabā-darīda kā baḳhiya-gar thā
magar maiñ kār-e-rafū se aage nikal gayā huuñ
mujhe na.ī shakl kī zamīñ par hai baat karnī
maiñ baizavī guftugū se aage nikal gayā huuñ
mirī ajal kī bhī maut ījād ho ga.ī hai
maiñ saañs lete lahū se aage nikal gayā huuñ
mujhe nahīñ apne raḳht-e-hastī kī fikr 'vāsif'
maiñ hast kī aarzū se aage nikal gayā huuñ
main waqt ki aabju se aage nikal gaya hun
so dahr ki ha-o-hu se aage nikal gaya hun
main be-shariat tahaaraton ki talash mein tha
main ba-shariat wuzu se aage nikal gaya hun
tu jaanta hai ki mera wijdan wajd mein hai
tu jaanta hai main tu se aage nikal gaya hun
main raqs karte hue tahajjud ki saaton mein
ibaadaton ke ghulu se aage nikal gaya hun
na-jaane kis kaenat mein paon rakh diye hain
main raat-din ki numu se aage nikal gaya hun
abas hain sab aalam-e-tahayyur meri nazar mein
main aalam-e-justuju se aage nikal gaya hun
main is jahan-e-qaba-darida ka baKHiya-gar tha
magar main kar-e-rafu se aage nikal gaya hun
mujhe nai shakl ki zamin par hai baat karni
main baizawi guftugu se aage nikal gaya hun
meri ajal ki bhi maut ijad ho gai hai
main sans lete lahu se aage nikal gaya hun
mujhe nahin apne raKHt-e-hasti ki fikr 'wasif'
main hast ki aarzu se aage nikal gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.