main wo aansu ki jo mala mein piroya jae
maiñ vo aañsū ki jo maalā meñ piroyā jaa.e
tū vo motī ki jise dekh ke royā jaa.e
bahr ko bahr na samjhe to ḳhatāvār bane
ab taqāzā hai safīne ko Duboyā jaa.e
ye bajā hai ki amānat meñ ḳhayānat na karo
ehtiyātan hī sahī zaḳhm ko dhoyā jaa.e
thak ga.e nazroñ ke paañv bhī siyah jañgal meñ
ab zarā der Thahar jaao ki soyā jaa.e
aaj kī raat ba-har-hāl na sonā 'shāhid'
har ghaḌī aañkh meñ ik ḳhaar chubhoyā jaa.e
main wo aansu ki jo mala mein piroya jae
tu wo moti ki jise dekh ke roya jae
bahr ko bahr na samjhe to KHatawar bane
ab taqaza hai safine ko Duboya jae
ye baja hai ki amanat mein KHayanat na karo
ehtiyatan hi sahi zaKHm ko dhoya jae
thak gae nazron ke panw bhi siyah jangal mein
ab zara der Thahar jao ki soya jae
aaj ki raat ba-har-haal na sona 'shahid'
har ghaDi aankh mein ek KHar chubhoya jae
- Book : Subh-e-safar (Pg. 41)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.