maiñ vo huuñ jis kā zamāne ne sabaq yaad kiyā
ġham ne shāgird kiyā phir mujhe ustād kiyā
husn-e-jāñ-soz ne vahdat meñ mujhe yaad kiyā
maiñ ye samjhā ki mujhe ishq ne barbād kiyā
nahīñ ma.alūm vo maiñ huuñ ki koī aur asiir
sun rahā huuñ ki giraftār ko āzād kiyā
jis jagah khaa.ī thī Thokar vahīñ turbat thī mirī
bhūlne vaale ne mushkil se mujhe yaad kiyā
merī aahoñ kī havāoñ meñ na aa jaanā tum
ye vahī haiñ ki jinhoñ ne mujhe barbād kiyā
ḳhāna-e-qabr ajab chiiz hai lekin maiñ ne
itne TukḌe ko bhī ik umr meñ ābād kiyā
yās-o-ummīd ke mābain huī ḳhatm hayāt
ek ne shaad kiyā ek ne nāshād kiyā
tujh ko sab dete haiñ āvāz vo apne hoñ ki ġhair
is taraf maiñ ne mo.azzin ne udhar yaad kiyā
maiñ thā ik ḳhaak kī chuTkī to uḌā jaatā huuñ
ḳhaak kā vo bhī hai zarra jise sayyād kiyā
kis se luuñ dād-e-vafā kis ko dikhā.ūñ ye jafā
vo to parde meñ hai jis ne mujhe ījād kiyā
ishq meñ apne hī hāthoñ se huā do TukḌe
dil-e-nākām ne kār-e-sar-e-farhād kiyā
nā-tavānī meñ gire the jo lahū ke qatre
maiñ to bhūlā huā thā dil ne bahut yaad kiyā
ashk āñkhoñ se gire ḳhuun ragoñ meñ jo na thā
maiñ ne āḳhir adab-e-nashtar-e-fassād kiyā
zarre zarre se mirī ḳhaak ye detī hai sadā
rahe ābād vo jis ne mujhe barbād kiyā
ek sannāTā sā aalam meñ thā lekin maiñ ne
fat.h bāb-e-asar-e-nāla-o-faryād kiyā
jitne shikve haiñ tujhī se haiñ ki is aalam meñ
mujh ko bulbul kiyā sayyād ko sayyād kiyā
rāsta chalne ke qābil na rahā ai hamdam
maiñ ne manzil pe nayā marhala ījād kiyā
maiñ to chyūñTī ke kuchalne se hazar rakhtā thā
phir mujhe kis ne tah-e-zānū-e-jallād kiyā
itnā zinda rahe ham jis se khulīñ ma.anī-e-maut
sub.h-e-ījād meñ qasd-e-adam ābād kiyā
bū nikalne lagī ġhunchoñ se to phir Dar kis kā
ye ḳhabar sach hai to sayyād ne āzād kiyā
qabl-az-vaqt phañsā daam meñ aur phañste hī
jo tamannā yahāñ laa.ī thī use yaad kiyā
ālam-e-husn hai vo naqsh-e-ma.ānī 'sāqib'
jo mirī tab-e-ḳhudā-dād ne ījād kiyā
main wo hun jis ka zamane ne sabaq yaad kiya
gham ne shagird kiya phir mujhe ustad kiya
husn-e-jaan-soz ne wahdat mein mujhe yaad kiya
main ye samjha ki mujhe ishq ne barbaad kiya
nahin malum wo main hun ki koi aur asir
sun raha hun ki giraftar ko aazad kiya
jis jagah khai thi Thokar wahin turbat thi meri
bhulne wale ne mushkil se mujhe yaad kiya
meri aahon ki hawaon mein na aa jaana tum
ye wahi hain ki jinhon ne mujhe barbaad kiya
KHana-e-qabr ajab chiz hai lekin main ne
itne TukDe ko bhi ek umr mein aabaad kiya
yas-o-ummid ke mabain hui KHatm hayat
ek ne shad kiya ek ne nashad kiya
tujh ko sab dete hain aawaz wo apne hon ki ghair
is taraf main ne moazzin ne udhar yaad kiya
main tha ek KHak ki chuTki to uDa jata hun
KHak ka wo bhi hai zarra jise sayyaad kiya
kis se lun dad-e-wafa kis ko dikhaun ye jafa
wo to parde mein hai jis ne mujhe ijad kiya
ishq mein apne hi hathon se hua do TukDe
dil-e-nakaam ne kar-e-sar-e-farhad kiya
na-tawani mein gire the jo lahu ke qatre
main to bhula hua tha dil ne bahut yaad kiya
ashk aankhon se gire KHun ragon mein jo na tha
main ne aaKHir adab-e-nashtar-e-fassad kiya
zarre zarre se meri KHak ye deti hai sada
rahe aabaad wo jis ne mujhe barbaad kiya
ek sannaTa sa aalam mein tha lekin main ne
fath bab-e-asar-e-nala-o-faryaad kiya
jitne shikwe hain tujhi se hain ki is aalam mein
mujh ko bulbul kiya sayyaad ko sayyaad kiya
rasta chalne ke qabil na raha ai hamdam
main ne manzil pe naya marhala ijad kiya
main to chyunTi ke kuchalne se hazar rakhta tha
phir mujhe kis ne tah-e-zanu-e-jallad kiya
itna zinda rahe hum jis se khulin mani-e-maut
subh-e-ijad mein qasd-e-adam aabaad kiya
bu nikalne lagi ghunchon se to phir Dar kis ka
ye KHabar sach hai to sayyaad ne aazad kiya
qabl-az-waqt phansa dam mein aur phanste hi
jo tamanna yahan lai thi use yaad kiya
aalam-e-husn hai wo naqsh-e-maani 'saqib'
jo meri tab-e-KHuda-dad ne ijad kiya
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 187)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.