main yaad hun unki ye unhen yaad nahin hai
maiñ yaad huuñ un kī ye unheñ yaad nahīñ hai
mujh sā bhī jahāñ meñ koī nāshād nahīñ hai
mahbūb kā har zulm hai ehsān se behtar
bedād jise kahte haiñ bedād nahīñ hai
Dartā hai ki charchā na tire zulm kā ho jaa.e
lab par tire mazlūm ke fariyād nahīñ hai
har gosha-e-ālam nazar-e-ġhaur se dekhā
ik dil bhī ġham-o-ranj se āzād nahīñ hai
sab mahv kiyā ik nigah-e-lutf se tū ne
pichhlā tirā koī bhī sitam yaad nahīñ hai
mahrūm koī kyoñ ho tire daur-e-sitam meñ
bad-baḳht hai jo kushta-e-bedād nahīñ hai
vāqif hī nahīñ zauq-e-asīrī se vo hargiz
jo kushta-e-be-mehrī-e-sayyād nahīñ hai
thā maiñ jo sitam-dost kiyā tū ne sitam tark
kuchh kam ye sitam ai sitam-ījād nahīñ hai
kyā baat hai ai dil tujhe chup lag ga.ī kaisī
kyoñ mashġhala-e-nāla-o-fariyād nahīñ hai
kyoñ mujh ko asīrī meñ rihā.ī kī havas ho
kyā dil meñ mire ulfat-e-sayyād nahīñ hai
kahne ko to yuuñ sher sabhī kahte haiñ 'nashtar'
vāqif nahīñ jo fan se vo ustād nahīñ hai
main yaad hun un ki ye unhen yaad nahin hai
mujh sa bhi jahan mein koi nashad nahin hai
mahbub ka har zulm hai ehsan se behtar
bedad jise kahte hain bedad nahin hai
Darta hai ki charcha na tere zulm ka ho jae
lab par tere mazlum ke fariyaad nahin hai
har gosha-e-alam nazar-e-ghaur se dekha
ek dil bhi gham-o-ranj se aazad nahin hai
sab mahw kiya ek nigah-e-lutf se tu ne
pichhla tera koi bhi sitam yaad nahin hai
mahrum koi kyon ho tere daur-e-sitam mein
bad-baKHt hai jo kushta-e-bedad nahin hai
waqif hi nahin zauq-e-asiri se wo hargiz
jo kushta-e-be-mehri-e-sayyaad nahin hai
tha main jo sitam-dost kiya tu ne sitam tark
kuchh kam ye sitam ai sitam-ijad nahin hai
kya baat hai ai dil tujhe chup lag gai kaisi
kyon mashghala-e-nala-o-fariyaad nahin hai
kyon mujh ko asiri mein rihai ki hawas ho
kya dil mein mere ulfat-e-sayyaad nahin hai
kahne ko to yun sher sabhi kahte hain 'nashtar'
waqif nahin jo fan se wo ustad nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.