main ye chahun main uljhi hun tu bhi uljhe
maiñ ye chāhūñ maiñ uljhī huuñ tū bhī uljhe
paas mire aa.e aur aa kar baiThe soche
tanhā tanhā dard sameTe phirtī huuñ maiñ
hamdardī kī kaisī sazā hai koī dekhe
ab sochūñ to ḳhuun ke aañsū dil rotā hai
kitnī hañstī rahtī thī maiñ barsoñ pahle
koī hogā merā apnā dil kahtā hai
bachche kī kilkārī ko man merā tarse
ek muddat se dil kī tamanna ye kahtī hai
god meñ merī aa.e aa kar koī khele
jaane kab aa.egā us se khelne vaalā
saare khilaune saje sajā.e ghar meñ rakhe
jaane aisī baat huī kyā soch rahī huuñ
mahfil meñ haiñ tīkhe tīkhe sab ke lahje
main ye chahun main uljhi hun tu bhi uljhe
pas mere aae aur aa kar baiThe soche
tanha tanha dard sameTe phirti hun main
hamdardi ki kaisi saza hai koi dekhe
ab sochun to KHun ke aansu dil rota hai
kitni hansti rahti thi main barson pahle
koi hoga mera apna dil kahta hai
bachche ki kilkari ko man mera tarse
ek muddat se dil ki tamanna ye kahti hai
god mein meri aae aa kar koi khele
jaane kab aaega us se khelne wala
sare khilaune saje sajae ghar mein rakhe
jaane aisi baat hui kya soch rahi hun
mahfil mein hain tikhe tikhe sab ke lahje
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.