main ye nahin kahti ki mujhe yaad kiya kar
maiñ ye nahīñ kahtī ki mujhe yaad kiyā kar
chup-chāp barastī huī bārish ko sunā kar
dastak mire darvāze pe mat aise diyā kar
sau baar kahā hai ki havā dhīre chalā kar
kahtā hai ye ā.īna mujhe nazreñ churā kar
nam-dīda mujhe dekh ke mat aise hañsā kar
ho jaa.e na kuchh aur udāsī meñ izāfa
tū ḳhud se mirī maan zarā kam hī milā kar
sargoshī na kar aise havā kaan meñ mere
tū lahje meñ us ke na mirā naam liyā kar
jaarī ho mire siine meñ sāñsoñ kā tasalsul
rakh haath mire Thahre hue qalb pe aa kar
phir dil meñ tire naam kī paḌtī haiñ dhamāleñ
hotī hai mirī ruuh bhī ḳhush ḳhaak uḌā kar
ghuñghaT kabhī chehre se uThāte hī nahīñ ho
milte ho kahīñ saare hijābāt uThā kar
kartā hai vo phir raqs sar-e-bazm musalsal
rakh dete ho zī-hosh ko dīvāna banā kar
sūraj ko bujhā dete ho tum shaam se pahle
aur dil se ye kahte ho ki din-rāt jalā kar
lagtā hai kabhī duur bahut duur ho mujh se
lagtā hai ki chhū lūñgī kabhī haath baḌhā kar
maiñ chādar-e-tathīr kā detī huuñ vasīla
rakh lenā mire aiboñ ko duniyā se chhupā kar
auqāt bhī miTTī hai tirī zaat bhī miTTī
tū ḳhaak hai mat ḳhaak pe itrā ke chalā kar
aa.egā bhalā kaun tire pīchhe ai pāgal
mat rāhoñ meñ 'jīnā' tū ThiThak kar yuuñ rukā kar
main ye nahin kahti ki mujhe yaad kiya kar
chup-chap barasti hui barish ko suna kar
dastak mere darwaze pe mat aise diya kar
sau bar kaha hai ki hawa dhire chala kar
kahta hai ye aaina mujhe nazren chura kar
nam-dida mujhe dekh ke mat aise hansa kar
ho jae na kuchh aur udasi mein izafa
tu KHud se meri man zara kam hi mila kar
sargoshi na kar aise hawa kan mein mere
tu lahje mein us ke na mera nam liya kar
jari ho mere sine mein sanson ka tasalsul
rakh hath mere Thahre hue qalb pe aa kar
phir dil mein tere nam ki paDti hain dhamalen
hoti hai meri ruh bhi KHush KHak uDa kar
ghunghaT kabhi chehre se uThate hi nahin ho
milte ho kahin sare hijabaat uTha kar
karta hai wo phir raqs sar-e-bazm musalsal
rakh dete ho zi-hosh ko diwana bana kar
suraj ko bujha dete ho tum sham se pahle
aur dil se ye kahte ho ki din-raat jala kar
lagta hai kabhi dur bahut dur ho mujh se
lagta hai ki chhu lungi kabhi hath baDha kar
main chadar-e-tathir ka deti hun wasila
rakh lena mere aibon ko duniya se chhupa kar
auqat bhi miTTi hai teri zat bhi miTTi
tu KHak hai mat KHak pe itra ke chala kar
aaega bhala kaun tere pichhe ai pagal
mat rahon mein 'jina' tu ThiThak kar yun ruka kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.