main yunhi TuTta bikharta hun
maiñ yūñhī TūTtā bikhartā huuñ
roz jiitā huuñ roz martā huuñ
dasht-o-dariyā ġhubār kartā huuñ
maiñ havā huuñ kahāñ Thahartā huuñ
pīchhe muḌ kar kabhī nahīñ dekhā
maiñ havāoñ se baat kartā huuñ
barg-o-gul titliyāñ salāmat sab
sar qalam ḳhushbuoñ ke kartā huuñ
roz naqsha banā ke duniyā kā
rañg-e-amn-o-sukūn bhartā huuñ
dil kī rāhoñ meñ qaiñchiyāñ rakh diiñ
terī yādoñ ke par katartā huuñ
logo har-sū salīb-o-dār rakho
āsmāñ se abhī utartā huuñ
chāñdnī saa.e raqs tāj-mahal
ḳhvāb āñkhoñ meñ rome bhartā huuñ
rasta paañv pakaḌne lagtā hai
jab tire dil se maiñ guzartā huuñ
main yunhi TuTta bikharta hun
roz jita hun roz marta hun
dasht-o-dariya ghubar karta hun
main hawa hun kahan Thaharta hun
pichhe muD kar kabhi nahin dekha
main hawaon se baat karta hun
barg-o-gul titliyan salamat sab
sar qalam KHushbuon ke karta hun
roz naqsha bana ke duniya ka
rang-e-amn-o-sukun bharta hun
dil ki rahon mein qainchiyan rakh din
teri yaadon ke par katarta hun
logo har-su salib-o-dar rakho
aasman se abhi utarta hun
chandni sae raqs taj-mahal
KHwab aankhon mein rome bharta hun
rasta panw pakaDne lagta hai
jab tere dil se main guzarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.