main zahr rahi har sham rahi
maiñ zahr rahī har shaam rahī
bārish kī havā badnām rahī
pātāl meñ dariyā jazb hue
maiñ sat.h rahī do-gām rahī
imkān-e-asar par sham.a-e-duā
bujhne kī adā kā naam rahī
mire tanhā dasht ke jazboñ meñ
tirī yaad tah-e-ālām rahī
koñpal ko dhuup havā se kyā
miTTī kī namī nākām rahī
bādal mirī chhat par kab Thahre
dīvār pe gahrī shaam rahī
is ghar ke añdhere lamhoñ meñ
bas ek kiran sar-e-bām rahī
maiñ chhāñv ke sukh se lauT ga.ī
tirī dhuup mirā ārām rahī
main zahr rahi har sham rahi
barish ki hawa badnam rahi
patal mein dariya jazb hue
main sath rahi do-gam rahi
imkan-e-asar par shama-e-dua
bujhne ki ada ka nam rahi
mere tanha dasht ke jazbon mein
teri yaad tah-e-alam rahi
konpal ko dhup hawa se kya
miTTi ki nami nakaam rahi
baadal meri chhat par kab Thahre
diwar pe gahri sham rahi
is ghar ke andhere lamhon mein
bas ek kiran sar-e-baam rahi
main chhanw ke sukh se lauT gai
teri dhup mera aaram rahi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 248)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.