main zard aag na pani ke sard Dar mein raha
maiñ zard aag na paanī ke sard Dar meñ rahā
rahā to soī huī ḳhaak ke ḳhatar meñ rahā
vo gard-bād ki dil kī zabāñ kā zā.iqa hai
nazar-ufuq pe huvaidā huā na sar meñ rahā
ki shāmil is meñ mirī larzish-e-ḳhayāl bhī thī
jo asl chhoḌ ke maiñ aks ke asar meñ rahā
tire libās pe ho us kī vāpsī kī chamak
jo ek umr tire ḳhuun ke asar meñ rahā
ghirā thā chāroñ taraf dhoḌ kī qanāt sā maiñ
magan zamāna kisī naqsh-e-tar-ba-tar meñ rahā
us ek lamhe kī gum-gashtagī pe ḳhush haiñ sabhī
jo hashr ban ke mire sañg-e-be-sharar meñ rahā
ye shahr zinda hai lekin har ek lafz kī laash
jahāñ kahīñ se uThī shor mere ghar meñ rahā
chapātiyāñ thiiñ bañdhī peT par magar shab-bhar
ubhartā Dūbtā maiñ bhuuk ke bhañvar meñ rahā
kahāñ se kaise kise kaun le uḌā thā 'zafar'
jo aadhī raat ko raulā sā dasht o dar meñ rahā
main zard aag na pani ke sard Dar mein raha
raha to soi hui KHak ke KHatar mein raha
wo gard-baad ki dil ki zaban ka zaiqa hai
nazar-ufuq pe huwaida hua na sar mein raha
ki shamil is mein meri larzish-e-KHayal bhi thi
jo asl chhoD ke main aks ke asar mein raha
tere libas pe ho us ki wapsi ki chamak
jo ek umr tere KHun ke asar mein raha
ghira tha chaaron taraf dhoD ki qanat sa main
magan zamana kisi naqsh-e-tar-ba-tar mein raha
us ek lamhe ki gum-gashtagi pe KHush hain sabhi
jo hashr ban ke mere sang-e-be-sharar mein raha
ye shahr zinda hai lekin har ek lafz ki lash
jahan kahin se uThi shor mere ghar mein raha
chapatiyan thin bandhi peT par magar shab-bhar
ubharta Dubta main bhuk ke bhanwar mein raha
kahan se kaise kise kaun le uDa tha 'zafar'
jo aadhi raat ko raula sa dasht o dar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.