main zer-e-saya kahin mahw-e-KHwab tha bhi nahin
maiñ zer-e-sāya kahīñ mahv-e-ḳhvāb thā bhī nahīñ
ki aa ke dhuup jagātī maiñ jāgtā bhī nahīñ
harīm-e-nāz mirī dastaras se duur to hai
mire jahān-e-taḳhayyul se māvarā bhī nahīñ
yahī hai adl to aise nizām-e-adl pe ḳhaak
hai fard-e-jurm bhī aa.ed mirī ḳhatā bhī nahīñ
ham apnī jaan ke dushman ko apnā dost kaheñ
hamāre paas koī aur rāsta bhī nahīñ
ham aa ke apne gharoñ meñ sukūñ se baiTh ga.e
ba.īñ-hama koī ḳhatra abhī Talā bhī nahīñ
kahāñ pe laa.ī hai ye shab-gazīdgī ham ko
charāġh bujh bhī ga.e mushta.il havā bhī nahīñ
asā ko Daal deñ dariyā meñ rāsta ho jaa.e
hamāre paas koī aisā mo.ajiza bhī nahīñ
isī jahān meñ 'aḳhlāq' aise log bhī haiñ
jo nek bhī haiñ aur un kā koī ḳhudā bhī nahīñ
main zer-e-saya kahin mahw-e-KHwab tha bhi nahin
ki aa ke dhup jagati main jagta bhi nahin
harim-e-naz meri dastaras se dur to hai
mere jahan-e-taKHayyul se mawara bhi nahin
yahi hai adl to aise nizam-e-adl pe KHak
hai fard-e-jurm bhi aaed meri KHata bhi nahin
hum apni jaan ke dushman ko apna dost kahen
hamare pas koi aur rasta bhi nahin
hum aa ke apne gharon mein sukun se baiTh gae
bain-hama koi KHatra abhi Tala bhi nahin
kahan pe lai hai ye shab-gazidgi hum ko
charagh bujh bhi gae mushtail hawa bhi nahin
asa ko Dal den dariya mein rasta ho jae
hamare pas koi aisa moajiza bhi nahin
isi jahan mein 'aKHlaq' aise log bhi hain
jo nek bhi hain aur un ka koi KHuda bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.