main zindagi ke sitam ko riwaj kah na saka
maiñ zindagī ke sitam ko rivāj kah na sakā
shikasta-pā bhī rahā aabla bhī bah na sakā
maiñ jān-būjh ke pīchhe rahā zamāne se
maiñ dostoñ kī daġhā bār-bār sah na sakā
'ajīb haal huā dil bhī be-qarār rahā
vo hāl-e-dil thā ki ro.e baġhair rah na sakā
maiñ haq-parast qabīle kā fard huuñ sāhib
chaḌhā bhī suulī to maiñ sach ko jhuuT kah na sakā
maiñ us kī soch ke dariyā meñ bahte bahte kabhī
banā jo mauj to dariyā ke biich rah na sakā
main zindagi ke sitam ko riwaj kah na saka
shikasta-pa bhi raha aabla bhi bah na saka
main jaan-bujh ke pichhe raha zamane se
main doston ki dagha bar-bar sah na saka
'ajib haal hua dil bhi be-qarar raha
wo haal-e-dil tha ki roe baghair rah na saka
main haq-parast qabile ka fard hun sahib
chaDha bhi suli to main sach ko jhuT kah na saka
main us ki soch ke dariya mein bahte bahte kabhi
bana jo mauj to dariya ke bich rah na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.