majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte
majlis-e-ġham, na koī bazm-e-tarab, kyā karte
ghar hī jā sakte the āvāra-e-shab, kyā karte
ye to achchhā kyā tanhā.ī kī 'ādat rakkhī
tab use chhoḌ diyā hotā to ab kyā karte
raushnī, rañg, mahak, tā.ir-e-ḳhush-lahn, sabā
tū na aatā jo chaman meñ to ye sab kyā karte
dil kā ġham dil meñ liye lauT ga.e ham chup-chāp
koī suntā hī na thā shor-o-shaġhab kyā karte
baat karne meñ hameñ kaun sī dushvārī thī
us kī āñkhoñ se taḳhātub thā so lab kyā karte
kuchh kyā hotā to phir zo'm bhī achchhā lagtā
ham ziyāñ-kār the, elān-e-nasab kyā karte
dekh kar tujh ko sirhāne tire bīmār-e-junūñ
jāñ-ba-lab the, so hue āh-ba-lab kyā karte
tū ne dīvānoñ se muñh moḌ liyā, Thiik kyā
in kā kuchh Thiik nahīñ thā ki ye kab kyā karte
jo suḳhan-sāz churāte haiñ mirā tarz-e-suḳhan
un kā apnā na koī taur, na Dhab, kyā karte
yahī honā thā jo 'irfān' tire saath huā
munkir-e-'mīr' bhalā terā adab kyā karte
majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte
ghar hi ja sakte the aawara-e-shab, kya karte
ye to achchha kya tanhai ki 'adat rakkhi
tab use chhoD diya hota to ab kya karte
raushni, rang, mahak, tair-e-KHush-lahn, saba
tu na aata jo chaman mein to ye sab kya karte
dil ka gham dil mein liye lauT gae hum chup-chap
koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte
baat karne mein hamein kaun si dushwari thi
us ki aankhon se taKHatub tha so lab kya karte
kuchh kya hota to phir zo'm bhi achchha lagta
hum ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte
dekh kar tujh ko sirhane tere bimar-e-junun
jaan-ba-lab the, so hue aah-ba-lab kya karte
tu ne diwanon se munh moD liya, Thik kya
in ka kuchh Thik nahin tha ki ye kab kya karte
jo suKHan-saz churaate hain mera tarz-e-suKHan
un ka apna na koi taur, na Dhab, kya karte
yahi hona tha jo 'irfan' tere sath hua
munkir-e-'mir' bhala tera adab kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.