majnun bana diya to mukammal bana diya
majnūñ banā diyā to mukammal banā diyā
mujh ko to mere ishq ne pāgal banā diyā
dil ne kisī kī yaad ko chhoḌā nahīñ kabhī
dil ne kisī kī yaad ko āñchal banā diyā
itnā maiñ terī yaad meñ barsī huuñ TuuT kar
āñkhoñ ko jaise maiñ ne to bādal banā diyā
logoñ kā ik hujūm thā jaane kidhar gayā
bastī ko kis ne raat meñ jangal banā diyā
koī to is jahāñ meñ hai nā-puḳhta aur ḳhaam
yā rab kisī ko tū ne mukammal banā diyā
koī to ilm-o-fikr meñ hai bahr-e-be-karāñ
insān koī tū ne to aj.hal banā diyā
'zebī' maiñ ḳhud ko sonā samajhtī thī aur bas
mujh ko kisī ne dekh lo pītal banā diyā
majnun bana diya to mukammal bana diya
mujh ko to mere ishq ne pagal bana diya
dil ne kisi ki yaad ko chhoDa nahin kabhi
dil ne kisi ki yaad ko aanchal bana diya
itna main teri yaad mein barsi hun TuT kar
aankhon ko jaise main ne to baadal bana diya
logon ka ek hujum tha jaane kidhar gaya
basti ko kis ne raat mein jangal bana diya
koi to is jahan mein hai na-puKHta aur KHam
ya rab kisi ko tu ne mukammal bana diya
koi to ilm-o-fikr mein hai bahr-e-be-karan
insan koi tu ne to ajhal bana diya
'zebi' main KHud ko sona samajhti thi aur bas
mujh ko kisi ne dekh lo pital bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.