majnun bhi KHairiyat se hai laila maze mein hai
majnūñ bhī ḳhairiyat se hai lailā maze meñ hai
ik tum mire na ho sake duniyā maze meñ hai
titlī udaas ho ke chhupī dekhtī rahī
phūloñ se kheltā huā bhañvrā maze meñ hai
duniyā ke saare rang vahī haiñ tumhāre ba.ad
mujh ko akelā karke zamāna maze meñ hai
mausam tumhāre husn ke mastī shabāb kī
rahte ho jis meñ tum vo ilāqa maze meñ hai
ai ḳhush-nasīb chāñd kī matvālī chāñdnī
us se ye kahnā dard kā maarā maze meñ hai
be-rāhbar hai ab bhī mirā qāfila 'zamīr'
lekin vo ḳhush hai us kā qabīla maze meñ hai
majnun bhi KHairiyat se hai laila maze mein hai
ek tum mere na ho sake duniya maze mein hai
titli udas ho ke chhupi dekhti rahi
phulon se khelta hua bhanwra maze mein hai
duniya ke sare rang wahi hain tumhaare baad
mujh ko akela karke zamana maze mein hai
mausam tumhaare husn ke masti shabab ki
rahte ho jis mein tum wo ilaqa maze mein hai
ai KHush-nasib chand ki matwali chandni
us se ye kahna dard ka mara maze mein hai
be-rahbar hai ab bhi mera qafila 'zamir'
lekin wo KHush hai us ka qabila maze mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.