makan aur bhi hain zaman aur bhi hain
makāñ aur bhī haiñ zamāñ aur bhī haiñ
tire shauq ke rāz-dāñ aur bhī haiñ
lab-e-shikva-sanj-e-mohabbat na ghabrā
tire bazm meñ ham-zabāñ aur bhī haiñ
dar-e-mai-kada hai agar band vaa.iz
ḳhudā rakkhe pīr-e-muġhāñ aur bhī haiñ
agar ik kamāñ-kash ne nazreñ churā.īñ
to duniyā meñ abrū-kamāñ aur bhī haiñ
na itrā.eñ aurāq-e-gul par anādil
ki zeb-e-chaman gul-ruḳhāñ aur bhī haiñ
nahīñ ḳhātam-e-shauq farhād-o-majnūñ
talabgār-e-kū-e-butāñ aur bhī haiñ
ġhazālān-e-ram-ḳhurda-o-shoḳh-dīda
hasīnān-e-āhū-vashāñ aur bhī haiñ
bahut mat chahak qumrī-e-sarv-e-ḳhūbī
giraftār-e-tauq-e-girāñ aur bhī haiñ
faqat ek maz.har na thā jān-e-jānāñ
azīzo abhī jān-e-jāñ aur bhī haiñ
luTā dī mai-e-ḳhūn-e-dil phir bhī 'naqvī'
talabgār-e-ratl-e-girāñ aur bhī haiñ
makan aur bhi hain zaman aur bhi hain
tere shauq ke raaz-dan aur bhi hain
lab-e-shikwa-sanj-e-mohabbat na ghabra
tere bazm mein ham-zaban aur bhi hain
dar-e-mai-kada hai agar band waiz
KHuda rakkhe pir-e-mughan aur bhi hain
agar ek kaman-kash ne nazren churain
to duniya mein abru-kaman aur bhi hain
na itraen auraq-e-gul par anadil
ki zeb-e-chaman gul-ruKHan aur bhi hain
nahin KHatam-e-shauq farhad-o-majnun
talabgar-e-ku-e-butan aur bhi hain
ghazalan-e-ram-KHurda-o-shoKH-dida
hasinan-e-ahu-washan aur bhi hain
bahut mat chahak qumri-e-sarw-e-KHubi
giraftar-e-tauq-e-giran aur bhi hain
faqat ek mazhar na tha jaan-e-jaanan
azizo abhi jaan-e-jaan aur bhi hain
luTa di mai-e-KHun-e-dil phir bhi 'naqwi'
talabgar-e-ratl-e-giran aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.