makan dil ko banane ka ye wada ru-ba-ru kar ke
makāñ dil ko banāne kā ye va.ada rū-ba-rū kar ke
makīñ ghar chhoḌ dete haiñ ye bāteñ kū-ba-kū kar ke
lagī jo choT bhī tum ko sahā mujh se na jā.egā
ye bāteñ karne vaale chhoḌ jaate dil lahū kar ke
kabhī nashtar se jo us ne diye the ghaav is dil par
vahāñ paivand yādoñ kā lagāyā hai rafū kar ke
nahīñ sūkhī haiñ beleñ aaj bhī dil meñ mohabbat kī
unheñ sīñchā hai ashkoñ ko lahū ko āb-jū kar ke
tumheñ sachchī mohabbat kā sila maiñ aur kyā detī
tumheñ agle janam bhī māñgtī huuñ aarzū kar ke
makan dil ko banane ka ye wada ru-ba-ru kar ke
makin ghar chhoD dete hain ye baaten ku-ba-ku kar ke
lagi jo choT bhi tum ko saha mujh se na jaega
ye baaten karne wale chhoD jate dil lahu kar ke
kabhi nashtar se jo us ne diye the ghaw is dil par
wahan paiwand yaadon ka lagaya hai rafu kar ke
nahin sukhi hain belen aaj bhi dil mein mohabbat ki
unhen sincha hai ashkon ko lahu ko aab-ju kar ke
tumhein sachchi mohabbat ka sila main aur kya deti
tumhein agle janam bhi mangti hun aarzu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.