makan-e-dil mein tu masnad-nashin hai
makān-e-dil meñ tū masnad-nashīñ hai
munavvar tujh se sab rū-e-zamīñ hai
koī ka.aba meñ aur koī dair meñ jā
ḳhalā.iq DhūñDhtī har har kahīñ hai
ye dil ne aisī kuchh paa.ī hai vus.at
ki jis ke aage past arsh-e-barīñ hai
jo nā-bīnā ho din ko raat jaane
bhalā sūraj to poshīda nahīñ hai
misāl-e-sham.a ḳhush jaltā hai 'ḳhāmosh'
tirī mahfil meñ jaañ to hai vahīñ hai
makan-e-dil mein tu masnad-nashin hai
munawwar tujh se sab ru-e-zamin hai
koi kaba mein aur koi dair mein ja
KHalaiq DhunDhti har har kahin hai
ye dil ne aisi kuchh pai hai wusat
ki jis ke aage past arsh-e-barin hai
jo na-bina ho din ko raat jaane
bhala suraj to poshida nahin hai
misal-e-shama KHush jalta hai 'KHamosh'
teri mahfil mein jaan to hai wahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.