makan hai kisi ka sukunat kisi ki
makāñ hai kisī kā sukūnat kisī kī
mirā dil hai aur hai mohabbat kisī kī
jo vāqif nahīñ ḳhud haqīqat se apnī
vo kyā ḳhaak jaane haqīqat kisī kī
yahāñ ek muhtāj hai dūsre kā
yahāñ hai kisī ko zarūrat kisī kī
idhar ham pe zulm-o-sitam TūTte haiñ
udhar hai kisī par 'ināyat kisī kī
jo honī hai vo ho ke rahtī hai ik din
chalī hai kahāñ pesh-e-qismat kisī kī
sabab kyā hai vo mehr se dekhte haiñ
samajhtā huuñ aa.ī hai shāmat kisī kī
bure se burā hai vo merī nazar meñ
jo insān kartā hai ġhībat kisī kī
ḳhudā ne hameñ dī hai aisī tabī'at
ki dekhī na jaatī hai aafat kisī kī
zabāñ apnī qaabū meñ rakkhī na jaa.e
to jaatī hai 'izzat kī 'izzat kisī kī
hazāroñ meñ do ek aise bhī hoñge
kisī kī sī hogī shabāhat kisī kī
na jab tak ho qaul-o-'amal meñ tatābuq
karegī asar kyā nasīhat kisī kī
karo justujū apnī manzil milegī
na bekār jaatī hai mehnat kisī kī
yahī hotī aa.ī hai bazm-e-jahāñ meñ
hai aamad kisī kī to ruḳhsat kisī kī
nahīñ imtiyāz-e-bad-o-nek mushkil
Tapaktī hai sūrat se sīrat kisī kī
na tan hai hamārā na jaañ hai hamārī
ye sab kuchh hai 'bartar' amānat kisī kī
makan hai kisi ka sukunat kisi ki
mera dil hai aur hai mohabbat kisi ki
jo waqif nahin KHud haqiqat se apni
wo kya KHak jaane haqiqat kisi ki
yahan ek muhtaj hai dusre ka
yahan hai kisi ko zarurat kisi ki
idhar hum pe zulm-o-sitam TuTte hain
udhar hai kisi par 'inayat kisi ki
jo honi hai wo ho ke rahti hai ek din
chali hai kahan pesh-e-qismat kisi ki
sabab kya hai wo mehr se dekhte hain
samajhta hun aai hai shamat kisi ki
bure se bura hai wo meri nazar mein
jo insan karta hai ghibat kisi ki
KHuda ne hamein di hai aisi tabi'at
ki dekhi na jati hai aafat kisi ki
zaban apni qabu mein rakkhi na jae
to jati hai 'izzat ki 'izzat kisi ki
hazaron mein do ek aise bhi honge
kisi ki si hogi shabahat kisi ki
na jab tak ho qaul-o-'amal mein tatabuq
karegi asar kya nasihat kisi ki
karo justuju apni manzil milegi
na bekar jati hai mehnat kisi ki
yahi hoti aai hai bazm-e-jahan mein
hai aamad kisi ki to ruKHsat kisi ki
nahin imtiyaz-e-bad-o-nek mushkil
Tapakti hai surat se sirat kisi ki
na tan hai hamara na jaan hai hamari
ye sab kuchh hai 'bartar' amanat kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.