maKHluq the pe Khaaliq-o-KHallaq ho gae
maḳhlūq the pe ḳhāliq-o-ḳhallāq ho ga.e
bhūkoñ ko yuuñ milā hai ki razzāq ho ga.e
ma.asūm sūrateñ to dil-o-jāñ hī le ga.iiñ
jo bhole-bhāle log the qazzāq ho ga.e
taaza sā kuchh lahū hai rag-e-sang-o-ḳhisht meñ
lagtā hai koī yaar se ushshāq ho ga.e
rasmī se is milāp kī allāh ḳhair ho
kyā kyā diloñ meñ pyaar ke mīsāq ho ga.e
kal vā.izoñ ke haañ bhī tirā zikr-e-ḳhair thā
ye nek-baḳht kyoñ tire mushtāq ho ga.e
kasb-e-ma.āsh ne kiyā aslāf se judā
go nā-ḳhalaf nahīñ the magar aaq ho ga.e
sūraj pe jaise shab ne siyāhī uñDel dī
'ejāz' yuuñ hayāt ke aurāq ho ga.e
maKHluq the pe KHaliq-o-KHallaq ho gae
bhukon ko yun mila hai ki razzaq ho gae
masum suraten to dil-o-jaan hi le gain
jo bhole-bhaale log the qazzaq ho gae
taza sa kuchh lahu hai rag-e-sang-o-KHisht mein
lagta hai koi yar se ushshaq ho gae
rasmi se is milap ki allah KHair ho
kya kya dilon mein pyar ke misaq ho gae
kal waizon ke han bhi tera zikr-e-KHair tha
ye nek-baKHt kyon tere mushtaq ho gae
kasb-e-maash ne kiya aslaf se juda
go na-KHalaf nahin the magar aaq ho gae
suraj pe jaise shab ne siyahi unDel di
'ejaz' yun hayat ke auraq ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.