makin ghar se nikal kar hi KHush hue honge
makīn ghar se nikal kar hī ḳhush hue hoñge
purāne shahr ke raste na.e bane hoñge
na.e zurūf meñ Dhalnā kise nasīb huā
magar vo log jo miTTī meñ mil ga.e hoñge
adhūre ḳhvāb bhī kitnī baḌī aziyyat haiñ
tamām 'umr jinheñ dekhte rahe hoñge
jinheñ jinheñ bhī tumhārī kamī rahī hogī
bahisht jā ke bhī shikva-kunāñ rahe hoñge
hameñ ḳharīd liyā hogā phir kisī ne kahīñ
kisī ko māl-e-ġhanīmat meñ mil ga.e hoñge
vo ehtirām se ḳhanjar-ba-kaf huā hogā
ye zaḳhm ham ne muravvat meñ le liye hoñge
makin ghar se nikal kar hi KHush hue honge
purane shahr ke raste nae bane honge
nae zuruf mein Dhalna kise nasib hua
magar wo log jo miTTi mein mil gae honge
adhure KHwab bhi kitni baDi aziyyat hain
tamam 'umr jinhen dekhte rahe honge
jinhen jinhen bhi tumhaari kami rahi hogi
bahisht ja ke bhi shikwa-kunan rahe honge
hamein KHarid liya hoga phir kisi ne kahin
kisi ko mal-e-ghanimat mein mil gae honge
wo ehtiram se KHanjar-ba-kaf hua hoga
ye zaKHm hum ne murawwat mein le liye honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.