makin shor machate hain to machane de
makīn shor machāte haiñ to machāne de
kivāḌ khol de taaza havā ko aane de
bhaTak na jaa.e kahīñ phir se qāfila terā
charāġh thaam mujhe rāsta batāne de
alaav bujhne lagegā to log uTTheñge
zarā zarā sī kahānī se aag aane de
tamāsh-bīn tamāshe kā ek hissa haiñ
agar ye log uThāte haiñ haz uThāne de
tamām umr kā ronā qubūl mere valī
bas ek baar mujhe khul ke muskurāne de
ham ek saath mohabbat kī jang haare haiñ
hameñ shikast bhī ik saath hī manāne de
tū baar baar mujhe dekh mat 'shumāma-ufuq'
jo baat maiñ ne chhupā.ī hai vo chhupāne de
makin shor machate hain to machane de
kiwaD khol de taza hawa ko aane de
bhaTak na jae kahin phir se qafila tera
charagh tham mujhe rasta batane de
alaw bujhne lagega to log uTThenge
zara zara si kahani se aag aane de
tamash-bin tamashe ka ek hissa hain
agar ye log uThate hain haz uThane de
tamam umr ka rona qubul mere wali
bas ek bar mujhe khul ke muskurane de
hum ek sath mohabbat ki jang haare hain
hamein shikast bhi ek sath hi manane de
tu bar bar mujhe dekh mat 'shumama-ufuq'
jo baat main ne chhupai hai wo chhupane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.