makin tha wo to mohabbat ki bargah tha dil
makīñ thā vo to mohabbat kī bārgāh thā dil
phir us ke baa'd koī ḳhāna-e-tabāh thā dil
yahāñ bhī aa ke ġham-e-yār ne Thikāna kiyā
mire liye to yahī ik panāh-gāh thā dil
ba-zid isī pe thā chalnā hai koī jānāñ ko
jo maiñ ne rāsta badlā thā sadd-e-rāh thā dil
banā liyā hai ise bhī himāyatī us ne
vagar na pahle baḌā merā ḳhair-ḳhvāh thā dil
sitam to ye hai ki us kā hī nām-levā thā
jab iḳhtiyār meñ mere bhī gāh-gāh thā dil
malāl hotā bhī kyā us ke faisle pe mujhe
zamāna ek taraf thā mirā gavāh thā dil
makin tha wo to mohabbat ki bargah tha dil
phir us ke ba'd koi KHana-e-tabah tha dil
yahan bhi aa ke gham-e-yar ne Thikana kiya
mere liye to yahi ek panah-gah tha dil
ba-zid isi pe tha chalna hai koi jaanan ko
jo main ne rasta badla tha sadd-e-rah tha dil
bana liya hai ise bhi himayati us ne
wagar na pahle baDa mera KHair-KHwah tha dil
sitam to ye hai ki us ka hi nam-lewa tha
jab iKHtiyar mein mere bhi gah-gah tha dil
malal hota bhi kya us ke faisle pe mujhe
zamana ek taraf tha mera gawah tha dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.