makinon ko tarasta har makan hai
makīnoñ ko tarastā har makāñ hai
magar ab shahr meñ amn-o-amāñ hai
luTī kyoñ din-dahāḌe ghar kī pūñjī
jo is ghar kā muhāfiz thā kahāñ hai
fasāne gaḌ.h rahā hai jhuuT un kā
magar merī sadāqat be-zabāñ hai
sune bhī vo to kab bāvar karegā
maiñ jo kuchh kah rahā huuñ rā.egāñ hai
mire pairoñ tale jaltī zamīneñ
mire sar par dhueñ kā sā.ebāñ hai
maiñ tīr-andāz samjhā jā rahā huuñ
mire hāthoñ meñ ik TuuTī kamāñ hai
mirī āñkhoñ meñ ik mismār masjid
mire kānoñ meñ ik zaḳhmī azaañ hai
mirī nīñdoñ pe saa.e qātiloñ ke
mire ḳhvāboñ meñ maqtal kā samāñ hai
havāoñ par jo likkhī jā rahī hai
mirī barbādiyoñ kī dāstāñ hai
kare pursish marīz-e-jāñ-ba-lab kī
masīhā ko magar fursat kahāñ hai
sunā hai maiñ ne ḳhud ko dūsroñ se
mirā qissa hadīs-e-dīgarāñ hai
abhī ham surḳh-rū haiñ ḳhud se 'maḳhmūr'
ki ā.īnoñ meñ sail-e-ḳhūñ ravāñ hai
makinon ko tarasta har makan hai
magar ab shahr mein amn-o-aman hai
luTi kyon din-dahaDe ghar ki punji
jo is ghar ka muhafiz tha kahan hai
fasane gaDh raha hai jhuT un ka
magar meri sadaqat be-zaban hai
sune bhi wo to kab bawar karega
main jo kuchh kah raha hun raegan hai
mere pairon tale jalti zaminen
mere sar par dhuen ka saeban hai
main tir-andaz samjha ja raha hun
mere hathon mein ek TuTi kaman hai
meri aankhon mein ek mismar masjid
mere kanon mein ek zaKHmi azan hai
meri nindon pe sae qatilon ke
mere KHwabon mein maqtal ka saman hai
hawaon par jo likkhi ja rahi hai
meri barbaadiyon ki dastan hai
kare pursish mariz-e-jaan-ba-lab ki
masiha ko magar fursat kahan hai
suna hai main ne KHud ko dusron se
mera qissa hadis-e-digaran hai
abhi hum surKH-ru hain KHud se 'maKHmur'
ki aainon mein sail-e-KHun rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.